Recents in Beach

palne me bolne wale bacbche ki kahani | Haqeeqi or daymi izzat

PALNE ME BOLNE WALE BACHCHE KI KAHANI

story of a baby who spoken in the cradle | palne me bolne wale bacbche ki kahani

Ek bachcha apni maa ka doodh pi raha tha.

Waha se ek aadmi umda sawari oar sawar khubsoorat libas pehne hue guzra to,

Us bachche ki maa ne kaha: Aye ALLAH! mere bete ko aisa bana de.

Bachche ne doodh chhoda or us admi ki tarf rukh kiya, use dekha or 
kaha: Aye ALLAH! mujhe is jaisa na banana.

Fir dhoodh pine laga.

Fir log ek laundi (ladki) lekar guzre.
Wo use maar rahe the or keh rahe the: Tune zina kiya, tune chori ki.

Wo keh rahi thi: Mujhe ALLAH kafi hai, wahi behtareen karsaz hai.

Us bachche ki maa kehne lagi: Aye ALLAH! mere bete ko iski tarha na banana.

Bachche ne doodh choda, us bandi ki taraf dekha or 
Kaha: Aye ALLAH! mujhe isi jaisa banana.

Yaha aakar un dono (Maa or bete) ne ek dusre se sawal jawab kiya.

Wo (Maa) kehne lagi: Mera sir munde! Bahut achchi haisiyat ka ek aadmi guzra, 
maine kaha: Aye ALLAH! mere bete ko aisa banana, to
Tumne kaha: Aye ALLAH! mujhe is jaisa na banana.

Fir log us kaniz ko lekar guzre, use maar rahe the or
Keh rahe the: Tune zina kiya, tune chori ki.

Mai ne kaha: Aye ALLAH! mere bete ko iski tarha na banana. To,
Tumne ye keh diya: Aye ALLAH! mujhe isi jaisa banana.

Us (bachche) ne kaha: Wo shaks dusro par zulm dhane wala jabir tha. isliye,
Maine kaha: Aye ALLAH! mujhe is jaisa na banana. Or 

Ye aurat jise log keh rahe the: Tune zina kiya, jabke usne zina nahi kiya tha, or tune chori ki jabke usne chori nahi ki thi. Isliye,
Maine kaha: Mujhe iski tarha (pakiza) banana.

Narrated: Abu Huraira رضي الله عنه 
Sahih Muslim: 2250

SABAK:

Haqeeqi or daymi izzat wala wahi hai jo apne parwardigar ki nafarmani se bacha hua hai, chahe log use haqeer or gunahgar samajhte ho.

Haqeeqat me daymi taur par zaleel wahi hai jo ALLAH ka nafarman hai, chahe arzi zindagi me log use achcha samajhte ho.

Post a Comment

0 Comments